Email id kaise banate hai – How to create an Email id ?

UpdateMarch 29, 2023 (1 year ago)
Download

How to create an Email id ?:Aaj ka ye Digital Jamane me Email id kaise banate hai iska jawab sayad har koi janta hai. Lekin jyadatar log bohat confuse rehte hain ki kahapar Email id banaye jaye. To chaliye aaj me pura simple way mein sikhaunga ki isko kaha banaye and iska fyda aaj kal ki dunia me kya hai.

How to create an Email id
  • Tvtap apk
  • Academy34 APK

How to create an Email id

Bhai log Email id kaise banate hai ye batane se pehle me iska kuch fyde batana chahunga. Aaj kal ke jamane me sab ka Email id hai par jyadatar log isko banakar hi chod dete hain. Aaj kal ke jamane me email id bohat jagah kaam atta hai aur sayad sabko kavi na kabi email id ka jarurat kavi na kavi padi hogi. To chaliye iske 5 fyde jaan lete hai.

  • Kisivi Document ko chutki mein kisike pass bhej sakte hai.
  • Bohat important khabar like Naukri,News,Trending sidhe apni inbox me .
  • Kahi sare online jagao par Account khol sakte hai like(facebook,Twitter,Instagram,etc).
  • Apni phone ke sare Data Backup kar sakte hain.
  • Professionally Kisibhi byakti ya company ko kahipar se bhi mail karsakte hai.

Email id kahapar banana sahi rahega.-How to create an Email id

Dekhiye ye sawal sab logon ke mann me hoga ki kahapar banega Email id. Ajj main apko bataunga ki kahapar Email id banana apko sahi rahega. Wese to Email id ap bohat sare platform ke upar bana sakte hain jeseki Yahoo,Gmail,Microsoft. But Gmail me id banana apkeliye bilkul hi sahi rahega. Kyun ki isme apko use karneki jyada problem nehi hogi and ye bohat hi simple hai.

How to create an Email id full process Step by Step.

  • Step 1 – Search Gmail In Chrome- Pehle Apko apni Mobile ya Computer me Google chrome kholna hoga. Then apko usme Gmail .com type karna hoga. Dhyan dijiye apka internet agar pura slow hoga to nehi kholega . Iskeliye apko Internet thoda speed ya Normal chahiye. Niche diyageya image ko dekhiye aur bilkul usi type ki hi chrome bar me search kijiye.
How to create an Email id
  • Step 2 – Create Account upar click kijiye- Gmail .com Kholneke baad apko kuch niche diya gaya image jesa dikhega . Par apko usme se kuch nehi karna hai. Pura niche diya hua “Create Account” par click kijiye. Mai jesa bata raha hoon bilkul wesa hi kijiye.
How to create an Email id
  • Step 3 – Accout creation Form Fillup- Ab dekhiye apke samne ek chota sa Form nikal ke aayega. Jisme apko kuch apni details like First name (Apni naam ka pehla Word), Last name (Naam ka Last word/Title/Surname). Uske baad apko ek username select karna hoga, Ye bohat hi important hai kyun ki ye apko mail bhejne ya Receive karne ke kaam ayega (Like Address). App ye user name ko thoda dhyan se dijiye aur yaad rakhiye or kahinpe note kar lijiye. Niche image ko dekhkar fillup Kijiye.
  • Note :- Username apka pura Unique hona chahiye matlab app yese ek username chunenge jese pehle koi us type ka na ho.
  • Example:- Agar apka Naam Rakesh Kumar hai to Username –
  • rakeshkumar1993/rakeshkumar143/rakesh.kumar05 yesa rakhiye.
  • Ab Password Dijiye:- Dekhiye Niche diye gaye Pic jaisa Apko password mangega. Tab app dono jagah par SAME password dijiye. Password yesa dijiye ki jese har wakt apko yaad rahe. Nehito baad mein apko Dikkat ho sakti hai.Password dene ke baad Next button upar click kijiye.

How to create an Email id

How to create an Email id
How to create an Email id
  • Step 4 – Phone number,DOB,Gender: Ab apke samne me kuch Niche diya gata Pic jesa ek form ayega. Usme apko apni Mobile phone number, Date of Birth And Gender(Ling) dena hoga. Phone number apka permanenet Number hoga to Bohat hi acha rahega. Ye sab details dene ke baad app Next button ke upar fir se click kijiye.
How to create an Email id
  • Step 5 – Terms & Conditions: Dekhiye ye upar diye gaye 4 steps complte hone ke baad. Apke samne kuch niche diye gaye pic jesa ek aayega usko Gmail ki Terms and Conditions (niyam/sartabali) bolte hain. Isme apke jankari keliye bohat baat hai jisko apko ek baar padh lena chahiye taki future me agar kuch problem hoga. Matlab agar apke mail me kuch problem jese ki mail na jana, mail na aana, max file attachment na hona, Privacy policy, Sahi istemaal etyadi etc ke bare mai likha hoga. Par kuch technically nehi likha hoga . App uspe AGREE ke button pe click karenge to apki mail safalata purbak create ho jayega.
How to create an Email id
  • Final Step:- Congratulations Apka gmail id /Email id safalta purbak open hogeya hai. Abhi apke pass ek mail id hogeya hai aur app isko bohat sare kaamo keliye istemaal kar sakte hain. Aur dunia ke har kahinpar bhi ye gmail id/Email id apka kaam de sakta hai . Chahe app job keliye apply kare ya Online kisi Website/Mobile App me Account khole.

Email id kaise banate hai Full video tutorial.

Conclusion:- App ajj sikhe ki Email id kaise banate hai aur usko kaha kaha apply kar sakte hai. bas isi tarah hamare Blog pe har do din ke baad ek neya post ham dalte hain. Hamara har post bohat hi informative and Useful hota hai. Ham hamare sabhi post main bohat hi simple way main logon ko samjhate hain. Kyun ki app keliye apka samajhna jitna aasan hoga app usko utna kaam me laga sakte hain. kripiya is post ko niche diye gaye share ke button pe click karke sab ke saath ek baar share karenge to hamari mehnat safal ho jayegi. Dhanyabaad aur Jai hind.

Leave a Comment